Wednesday, September 17, 2008

sapne

kal kuch sapne the inn aankhon mein,
kal kuch baatein thi unn baaton mein,
sapne badal gaye, baatein badal gayi,
kuch hi roz mein saari raatein badal gayi,
kuch halaat, kuch baatein hain waqt ki ab,
kuch hi nagme hain sunane ko ab,
par kya bacha hai koi sunne wala?
yeh sawaal bhi toh baaki hai ab,
sapne jo raaton mein dekhe theunhe toh bhool gaye,
par kaise bhoolen dekhe khuli ankhon se jo sapne sab,
sirf apne nahin kuch sapne apno ke bhi hain ab,
jinhe poora karna hi lakhya hai ab.........

khushi aur gam ke beech ka daayra

aaj achanak jo itni muskarahat hai chehre par,
kaun sa gam hai jise chupaye firte hain hum?
aaj itna damak raha jo chehra hamara,
toh kis dukh ki shwet parchayi padi hai chehre par?
aankhon mein agar naye ujale chalak pade hain
toh kin amulya aansuon ko dabaye hain hum?
honth agar jhoom jhoom kar gaa rahe hain,
toh kitne hi khamosh ahsaas andar hi samaaye hain hum?

Ankahe ahsaas

kehne ko main tumhe jaanti hun
par kya samajh paayi hun tumhe?
kehne ko tum mujhe jaante ho
par kya pehchaan paaye ho mujhe?
kuch baatein jo maine sun li hain
kya tum keh paaye ho unhe?
kuch aahen jo bhari hain tumne
kya unhe sun paayi hun main?
kitne kareeb hain hum ek dusre ke
par kya kareebiyan badh paayi hain?
yaa fir kuch ankahe ahsaas hain ye?
jinhe koi keh na paaya, samjha na paaya....

Life's dilemmas

When people put up questions
how shall we reply?
When no answer is ready
which means shall we try?
Is it necessary to have
answers to all questions put to you?
I do not think so at all
because what does get in lieu?