Wednesday, September 17, 2008

sapne

kal kuch sapne the inn aankhon mein,
kal kuch baatein thi unn baaton mein,
sapne badal gaye, baatein badal gayi,
kuch hi roz mein saari raatein badal gayi,
kuch halaat, kuch baatein hain waqt ki ab,
kuch hi nagme hain sunane ko ab,
par kya bacha hai koi sunne wala?
yeh sawaal bhi toh baaki hai ab,
sapne jo raaton mein dekhe theunhe toh bhool gaye,
par kaise bhoolen dekhe khuli ankhon se jo sapne sab,
sirf apne nahin kuch sapne apno ke bhi hain ab,
jinhe poora karna hi lakhya hai ab.........

khushi aur gam ke beech ka daayra

aaj achanak jo itni muskarahat hai chehre par,
kaun sa gam hai jise chupaye firte hain hum?
aaj itna damak raha jo chehra hamara,
toh kis dukh ki shwet parchayi padi hai chehre par?
aankhon mein agar naye ujale chalak pade hain
toh kin amulya aansuon ko dabaye hain hum?
honth agar jhoom jhoom kar gaa rahe hain,
toh kitne hi khamosh ahsaas andar hi samaaye hain hum?

Ankahe ahsaas

kehne ko main tumhe jaanti hun
par kya samajh paayi hun tumhe?
kehne ko tum mujhe jaante ho
par kya pehchaan paaye ho mujhe?
kuch baatein jo maine sun li hain
kya tum keh paaye ho unhe?
kuch aahen jo bhari hain tumne
kya unhe sun paayi hun main?
kitne kareeb hain hum ek dusre ke
par kya kareebiyan badh paayi hain?
yaa fir kuch ankahe ahsaas hain ye?
jinhe koi keh na paaya, samjha na paaya....

Life's dilemmas

When people put up questions
how shall we reply?
When no answer is ready
which means shall we try?
Is it necessary to have
answers to all questions put to you?
I do not think so at all
because what does get in lieu?

Saturday, February 16, 2008

chehra

aaj achanak jo itni muskarahat hai chehre par

kaun sa gam hia jise hum chipaye firte hain

aaj itna damak raha hai jo chehra hamara

to kis dukh ki shwet parchai padi hai chehre par?

aankhon se agar naye ujaale chalak pade hain

toh kin amulya hazaaron aansuon ko dabaye hain hum?

honth agar khushi se jhoom kar gaa rahe hain

toh kitne khamosh ahsaas andar hi sammaye hain hum?

sawaal

mujhe ae zindagi hai tujh se ye malaal

ki jab bhi maine tujhse poocha koi sawaal

ya hans kar ya baaton baaton mein hamesha taal gayi tu mujhe

kya faayda hua fir haale dil sunane ka tujhe?

ik baar hi sahi mere bhi nasheman par nazar daalti

sab ke na sahi kuch sawaalon ke hi jawaab de daalti

ye tere sawaal ab aur bardaasht nahi hote

kahin dhundne par sab milenge tujhe

ye kyu kehti hai tu ki aise sawaalon ke jawaab nahi hote

Saturday, January 26, 2008

jee bhar

aao aaj hum jee bhar jee le
kyu na bahen failaye aur samandaron ko pee le?
thaam lo meri baahen jo tum agar
aao main tumhe chalna sikha du
bole jo bhi sach hai aur sahi hai
kyu bole jhooth ya hothon ko see le?
laut chalte hain un galiyon me
jab har pehli baarish bheegte the
chod do har chatt,khol do darwaaze
kyu na aaj bahar hi nahi bheetar bhi bhigo le?
kehte hain sab ki bachpana hai
hum kehte hain hum usme khush hain
oopari sanjeedagi,bahari andaaz,sab chod kar
kyu na sirf bachpan ke khel jeevan bhar khele?
samandar ki ret chuye mujhe waqt beet gaya
tumne bhi kahan mitti ke ghar banaye?
pakki imaaraton,unche makaano ka toh saath hai
kyu na hum us khaare paani ka namak bhi chu le?
bewajah raahen naapne ka shauk lauta hai
kuch purane pair mil gaye hain
gaadiyon ke darwaaze khol kar bahar niklo
kyu na aage badhe aur meelo meel chal le?
aage badhne ke liye bhi waapis jana zaruri hai
ye maine jaan liya hai
waapis chal kar itna aage badh jaaye
ki kyu na hum har naya manzar chu le?
kyu na aasma chuye aur har nayi manzil cheen le?
kyu na aaj hum jee bhar jee le?