aao aaj hum jee bhar jee le
kyu na bahen failaye aur samandaron ko pee le?
thaam lo meri baahen jo tum agar
aao main tumhe chalna sikha du
bole jo bhi sach hai aur sahi hai
kyu bole jhooth ya hothon ko see le?
laut chalte hain un galiyon me
jab har pehli baarish bheegte the
chod do har chatt,khol do darwaaze
kyu na aaj bahar hi nahi bheetar bhi bhigo le?
kehte hain sab ki bachpana hai
hum kehte hain hum usme khush hain
oopari sanjeedagi,bahari andaaz,sab chod kar
kyu na sirf bachpan ke khel jeevan bhar khele?
samandar ki ret chuye mujhe waqt beet gaya
tumne bhi kahan mitti ke ghar banaye?
pakki imaaraton,unche makaano ka toh saath hai
kyu na hum us khaare paani ka namak bhi chu le?
bewajah raahen naapne ka shauk lauta hai
kuch purane pair mil gaye hain
gaadiyon ke darwaaze khol kar bahar niklo
kyu na aage badhe aur meelo meel chal le?
aage badhne ke liye bhi waapis jana zaruri hai
ye maine jaan liya hai
waapis chal kar itna aage badh jaaye
ki kyu na hum har naya manzar chu le?
kyu na aasma chuye aur har nayi manzil cheen le?
kyu na aaj hum jee bhar jee le?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment